Subah sabse pehle cash ginein
Aaj ki tareekh kholein aur galle ka cash opening cash mein darj karein. Kal ka closing cash aaj ki opening mein aata hai. Agar aap pehli baar shuru kar rahe hain, galle mein maujood rakam bharein.
Har len-den ka tareeqa chunein
Ramesh ne ₹2,000 cash diye to “Paise mile” aur “Cash” chunein. Rakam UPI se aayi ho to “UPI / Bank” chunein. Isse din ke cash ka hisaab galle ke paise se milta hai.
- Subah ka cash
- ₹5,000
- Cash aaya
- + ₹2,000
- Cash gaya
- − ₹1,500
- Shaam ka cash
- ₹5,500
Is misaal mein shaam ke ₹5,500 agle din ki opening banenge.
Udhaar bikri aur vasooli alag darj karein
Meena ne ₹800 ka saamaan udhaar liya. “Lena hai · Udhaar bikri” mein Meena aur ₹800 darj karein. Agle din ₹300 milne par “Baaki paise mile” chunein aur Meena ka wahi naam select karein. Ab Meena se ₹500 lena hai.
Supplier ki dendari dekhein
Suresh se ₹1,200 ka maal udhaar khareeda to “Dena hai · Udhaar khareed” chunein. ₹500 chukane par “Baaki paise chukaye” mein Suresh ka naam dein. Dendari mein ₹700 baaki dikhenge.
Bolkar ya likhkar entry karein
“Bolkar” kholein aur mic ki permission dein. Boliye “Ramesh se do hazaar rupaye cash mile.” Save karne se pehle naam, rakam aur tareekh dekhein. “Likhkar” mein yahi jaankari khud bhar sakte hain. Browser ka mic upalabdh na ho to phone ke keyboard ka mic bhi istemal kar sakte hain.
Kisi ek vyakti ka hisaab nikaalein
Party ke khaate mein naam chunein. Lendari mein dekh sakte hain ki kisse kitne paise lene hain. Dendari mein dekhein ki kise kitne dene hain. Purani entry dhoondhne ke liye tareekh aur len-den ke prakaar ka filter lagaayein.